charkh se kuch umeed thi hi nahi
aarju main ne koi ki hi nahi
majhabii bahas main ne ki hi nahi
faalatoo akal mujh mein thii hi nahi
chaahataa thaa bahut sii baton ko
magar afsos ab vo ji hi nahi
juraat-e-arj-e-haal kyaa hoti
najr-e-lutf us ne kii hii nahi
is musiibat men dil se kaa kahata
koi aisi misal thii hii nahi
aap kyaa jaanen kdr-e-'yaa-Allaah'
jab musiibat koii padi hii nahin
shirk choda to sab ne chod diyaa
merii koi sosaaiti hii nahi
poocha ‘akabar’ hai adami kaisa
hans ke bole vo adami hi nahi