Add Poetry

Charon Taraf Se Maut Ne Ghera Hai Ziist Ko

Poet: Adil Mansuri By: marium, Karachi

Charon Taraf Se Maut Ne Ghera Hai Ziist Ko
Our Us Ke Saath Hukm Ki Ab Zindagi Karo

Bahar Gali Man Shor Hai Barsat Ka Suno
Kundi Laga Ke Aaj To Gher Men Pade Raho

Chood Aae Kis Ki Chaat Pe Javan-Saal Chand Ko
Khamosh Kis Liye Ho Sitaro Jawab Do

Kyun Chalte Chalte Ruk Gae Viran Rasto
Tanha Hun Aaj Main Zara Ghar Tak To Sath Do

Jis Ne Bhi Mud Ke Dekha Wo Patthar Ka Ho Gaya
Nazren Jhukae Dosto Chup Chup Chale Chalo

Allah Rakhe Teri Sahar Jaisi Kam-Sini
Dil Kanpta Hai Jab Bhi Tu Aati Hai Sham Ko

Viran Chaman Pe Roi Hai Shabnam Tamam Raat
Aise Men Koi Nannhi Kali Muskurae To

Aadil Hawaen Kab Se Bhi Deti Hain Dastaken
Jaldi Se Uth Ke Kamre Ka Darwaza Khol Do
 

Rate it:
Views: 1006
22 Jan, 2016
Related Tags on Adil Mansuri Poetry
Load More Tags
More Adil Mansuri Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets