Elahi Teri Chawkhat Per Bhikari Ban K Aaya Hoo
Sarapa Patr Hoo Ijz-O-Nidamat Saath Laya Hoo
Bhikari Wo K Jis K Pass Jholi Na Piyala Ha
Bhikari Wo Jsi Hirs-O-Hawas Ne Mar Dala Ha
Mata-E-Deen-O-Danish Nafs K Hathoo Se Lutwa Kr
Sukoon-E-Qalb Ki Doolat Hawas Ki Bheent Charwa Kr
Luta Kar Saari Kunji Gaflatoo Ki Is Yaa K Daldal Ma
Sahara Laine Aaya Ho Terey Kabey K Aanchal Ma
Gunaho Ki Lipat Se Kainaat-E-Qalb Afsurda
Irade Mazhamal, Himmat Shakista, Hosley Murda
Kha Se Lao Taqat Dil Ki Sachi Tarjumani Ki
K Is Janjhal Ma Guzri Ha Gharyaan Zindagani Ki
Khulasa Ye K Jal Bhun Kr Apni Rooh Siyahi Se
Sarapa Patr Ban Kr Apni Halat Ki Tabahi Se
Terey Darbar Ma Laya Hoo Apni Ab Zaboo Hali
Terey Chawkhat K Laiq Har Emal Se Haath Hain Khaali
Ye Tera Ghar Terey Mehr Ka Darbar Ha Moula
Srapa Noor Ha Muhbat-E-Inbaar Ha Moula
Teri Chawkhat K Jo Aadab Hain Ma Un Se Khali Hoo
Nhi Jis Ko Saleeqa Mangney Ka Wo Sawali Hoo
Zaban Garq-E-Nidamat Dil Ki Naqiss Tarjumani Per
Khudaya Rehm Meri Is Zabaan-E-Zubani Per
K Aankhey Khushk Hain In Ko Roona Nhi Aata
Sulagtey Daag Hain Dil Ma Jinhien Dhoona Nhi Aata
Elahi Teri Chawkhat Per Bhikari Ban K Aaya Hoo
Sarapa Patr Hoo Ijz-O-Nidamat Saath Laya Hoo