Dariya Ho Ya Pahad Ho Takrana Chahiye
jab tak na saans tuute jiye jana chahiye
yun to qadam qadam pe hai diwar samne
koi na ho to khud se ulajh jana chahiye
jhukti hui nazar ho ki simta hua badan
har ras-bhari ghata ko baras jaana chahiye
chaurahe baagh buildingen sab shahr to nahi
kuch aise waise logon se yarana chahiye
apni talash apni nazar apna tajraba
rasta ho chahe saaf bhatak jaana chahiye
chup chup makan raste gum sum nidhal vaqt
is shahr ke liye koi divana chahiye
bijli ka qumquma na ho kaala dhuan to ho
ye bhi agar nahin ho to bujh jana chahiye