Shero Shairee Se Darte Hein
Hm Teri Be Rukhi Se Darte Hein
Log Teri Dushmani Se Darte Hein
Hm Teri Doosti Se Darte Hein
Hm Ko Gairoo Se Dar Nahi Lagta
Apne Ahbab Hi Se Darte Hein
Roothta He To Rooth Jaye Jahan
Hm Teri Be Rukhi Se Darte Hein
Jis Se Jitna Qareeb Ho Rishta
Utna Hi Uske Shar Se Darte Hein
Bap Beta Ho Ya Behen Bhai
Sb Hi Aajkal Eik Dosre Se Darte Hein
Ird Gird Sb Hi Katne Waley
Ab To Hm Apne Aap Se Hi Darte Hein
Jake London Me Theek Se Rehna
Hm Teri Wapsi Se Darte Hein
Uoo To He Hm B Aitmi Qoowat
Haan Magar Amrica Se Darte Hein
Koi Pursane Haal Nahi Apna
He Shikayat Unhi Se Darte Hein
Log Darte Thay Darandoo Se Kal Tak
Aajkal To Insanoo Se Darte Hein
Daftaroo Me B Koi Kam Nahi
Such Chupate Hein Afsaroo Se Darte Hein
E-Attendance Ne Kia Dikhaya He Kamal
Hm Khuda Se Nahi Machinoo Se Darte Hein
Chand Gundoo Ka Raaj He Aajkal
Sari Dunya Unhi Se Darte Hein
Kr Dia Jeena Mushkil Gareeb K Liye
Hm Teri Jamhooriat Se Darte Hein
Hoga Dushwar Zindagi Tujko
Hm Teri Be Basi Se Darte Hein
Jald Ihsas Hojaye To Acha He
Hm Teri Be Hisi Se Darte Hein
Waqt U Hi Guzar Dia Tum Ne
Hm Waqt K Intiqam Se Darte Hein
Zindagi Me Waqt Eik Sa Kabi Nahi Rehta
Hm Baqia Sansoo K Hisab Se Darte Hein
Ho Na Samna Buri Olad Ka Kabi Tujko
Subho Sham Hm Unke Shar Se Darte Hein
Habib Jalib K Ahbab Se Mazirat K Sath
Un K Nazm Ki Ibtidai Aik Do Sheroo Ko
Is Nazam Ka Unwan Bana Dia He.Marhoom
Mere Ideal Shair Thay...Allah Unko
Jannatul Firdous Me Jaga Day....Aameen