Add Poetry

Darwaza Khula Rakhna

Poet: Ibn-e Insha By: Fauzia, Lahore

Dil Dard Ki Shiddat Se Khoon-Gashta-O-See Paara
Is Sheher Mein Phirta Hai Ek Wehshee-O-Awara
Shayar Hai Ke Aashiq Hai Jogi Hai Ke Banjara
Darwaza Khula Rakhna
Seene Se Ghata Uthe Aankhon Se Jhari Barse
Phaagan Ke Nahi Badal Jo Chaar Ghadi Barse
Barkha Hai Ye Bhaado Ki Barse To Badi Barse
Darwaza Khula Rakhna
Aankhon Mein Ek Alam Aankhon Mein To Duniya Hai
Honthon Pe Magar Mohrein Munh Se Nahi Kehta Hai
Kis Chiz Ko Kho Baitha Hai Kya Dhundne Nikla Hai
Darwaza Khula Rakhna
Haan Thaam Mohabbat Ki Gar Thaam Sake Dori
Sajan Hai Tera Sajana Ab Tujhse To Kya Chori
Yeh Jis Ki Manaadi Hai Basti Mein Teri Gori
Darwaza Khula Rakhna
Shikwon Ko Utha Rakhna Aankhon Ko Bichha Rakhna
Ek Shama Dareeche Ke Chaukhat Pe Jala Rakhna
Mayoos Na Phir Jaaye Haan Paas-E-Wafa Rakhna
Darwaza Khula Rakhna Darwaza Khula Rakhna
 

Rate it:
Views: 4012
11 Oct, 2012
Related Tags on Ibn e Insha Poetry
Load More Tags
More Ibn e Insha Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets