Wo Soch Jo Na Tham Saki
Wo Badal Jo Na Ghat Sakay
Wo Aik Rasm Jo Na Tamam Hoi
Wo Aik Fitrat Jo Na Badal Saki
Aao Sunao Tumko Mein Dastan Iman Faroshon Ki
Jab Simant Aae Zulm Kay Badal
Bahar Ki Rawani Se
Jab Jabr Ki Hawa Chal Pari
Wo Kufr Kay Takht Aewano Se
Jo Soch On Se Takraai
Wo Deshat Gard Kehlaeei
Magar Aik Giroh Aesa Tha
Jo Khud Ko Musalmaa'n Kehta Tha
Jab Mazloom Nay Osko Pukara
Wo Phir Bhi Tha Khamosh Bechara
Aao Sunao Tum Ko Mein Dastan Iman Faroshon Ki
Jo Shula E Qayamat Dhatay Rahay
Lashkar Kay Lashkar Martay Rahay
Khud Ko Deen E Mul'lani Se Jor Kar
Fatway Ummat Per Lagatay Rahay
Masoom Zahir Kar Kay Khud Ko
Wo Chupkar Ghaat Lagae Rahay
Angaron Me Paa Kar Wo Badbakht
Deen Ka Alam Uthaty Rahay
Husn Kay Bazaar Me Apnay
Gorakh Dhanday Chamkatay Rahy
Aao Sunao Tumko Mein Dastan Iman Faroshon
Ye Deen Se Na Ashna Badmash Londay
Ahlo Maka'an Kay Nange Millat
Tasviren Jala Kar Wafaon Ki
Mitatay Rahay Wo Naam Onka
Chand Aano Kay Jo Owaz
Beach Aae Wo Iman Apna
Laga Kar Aag Ashyanay Ko
Momin Khud Ko Manwatay Rahay
Haqiqat Kia Thi Wo Kia Janay
Firaoon Thay Kehlae Wo
Aao Sunao Tum Ko Mein Dastan Iman Faroshon Ki