Add Poetry

Dayaar-E-Dil Kii Raat Me.N

Poet: Nasir kazmi By: Ahmed Arif, Islamabad

Dayaar-E-Dil Kii Raat Me.N Chiraag Saa Jalaa Gayaa
Milaa Nahii.N To Kyaa Huaa Vo Shaql To Dikhaa Gayaa

[Dayaar=Place, Residence]

Judaa_Io.N Ke Zakhm Dard-E-Zindagii Ne Bhar Diye
Tujhe Bhi Niind Aa Ga_Ii Mujhe Bhii Sabr Aa Gayaa

Ye Subah Kii Safediyaa.N Ye Dopahar Kii Zardiyaa.N
Ab Aa_Iine Me.N Dekhataa Huu.N Mai.N Kahaa.N Chalaa Gayaa

Pukaratii Hai.N Fursate.N Kahaa.N Ga_Ii Vo Sohabate.N
Zamii.N Nigal Ga_Ii Unhe.N Yaa Aasamaan Khaa Gayaa

Vo Dostii To Khair Ab Nasiib-E-Dushmanaa.N Hu_Ii
Vo Chhotii Chhotii Ranjisho.N Kaa Lutf Bhii Chalaa Gayaa

Ye Kis Khushii Kii Ret Par Gamo.N Ko Niind Aa Ga_Ii
Vo Lahar Kis Taraf Ga_Ii Ye Mai.N Kahaa.N Samaa Gayaa

Gaye Dino.N Kii Laash Par Pa.De Rahoge Kab Talak
Utho Amal_Kasho.N Utho Ki Aafataab Sar Pe Aa Gayaa
 

Rate it:
Views: 2439
16 Aug, 2012
More Nasir Kazmi Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets