Add Poetry

Dhoop Mein Niklo Ghataon Mein Naha Kar Dekho

Poet: Nida Fazli By: Zamin, Rawalpindi

Dhoop Mein Niklo Ghataon Mein Naha Kar Dekho
zindagi kya hai kitabon ko hata kar dekho

sirf ankhon se hi duniya nahin dekhi jaati
dil ki dhadkan ko bhi binai bana kar dekho

patharon men bhi zaban hoti hai dil hote hain
apne ghar ke dar-o-divar saja kar dekho

wo sitara hai chamakne do yunhi ankhon men
kya zaruri hai use jism bana kar dekho

fasla nazron ka dhoka bhi to ho sakta hai
wo mile ya na mile hath badha kar dekho

Rate it:
Views: 583
23 Dec, 2020
More Nida Fazli Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets