Add Poetry

Dhum Thi Apni Parsai Ki

Poet: Altaf Hussain Hali By: Danish Afzal, karachi

Dhum Thi Apni Parsai Ki
Ki Bhi Aur Kis Se Ashnai Ki

Kyon Barhte Ho Ikhtilat Bahut
Ham Mein Taqat Nahin Judai Ki

Munh Kahan Tak Chupaoge Ham Se
Ham Ko Adat Hai Khudnumai Ki

Lag Mein Hai Lagw Ki Baten
Sulah Mein Cher Hai Larai Ki

Dil Bhi Pahlu Mein Ho To Yan
Kis Se Rakhiye Ummid Dil-Rubai Ki

Na Mila Koi Garat-E-Iman
Rah Gai Sharm Parsai Ki

Maut Ki Tarah Jis Se Darte The
Saat A Pahunchi Us Judai Ki

Zinda Phirne Ki Hai Hawas “Hali”
Intaha Hai Ye Behayai Ki
 

Rate it:
Views: 2089
16 Aug, 2012
Related Tags on Altaf Hussain Hali Poetry
Load More Tags
More Altaf Hussain Hali Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets