Add Poetry

Dil Gaya Tum Ne Liya Ham Kya Karen

Poet: Daag Dehlvi By: Shahid Mansoor, lahore

Dil Gaya Tum Ne Liya Ham Kya Karen
Janevali Chiz Ka Gam Kya Karen

Pure Honge Apne Arman Kis Tarah
Shauq Behad Waqt Hai Kam Kya Karen

Baksh Den Pyar Ki Gustakhiyan
Dil Hi Qabu Main Nahin, Ham Kya Karen

Tund Khu Hai Kab Sune Vo Dil Ki Bat
Aur Bhi Baraham Ko Baraham Kya Karen

Ek Sagar Par Hai Apni Zindagi
Rafta Rafta Is Se Bhi Kam Kya Karen

Kar Chuke Sab Apni-Apni Hikmaten
Dam Nikalta Hai Ai Mere Hamadam Kya Karen

Dil Ne Sikha Sheva-E-Beganagi
Aise Namuharim Ko Muharim Kya Karen

Mamala Hai Aj Husn-O-Ishq Ka
Dekhiye Vo Kya Karen Ham Kya Karen

Kah Rahe Hain Ahal-E-Sifarish Mujhse "Dag"
Teri Qismat Hai Buri Ham Kya Karen
 

Rate it:
Views: 3908
16 Aug, 2012
More Daagh Dehlvi Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets