Dil Hi To Hai Na Sang-O-ḳhisht Dard Se Bhar Na Aa.E Kyuun
Ro.Enge Ham Hazar Baar Koi Hamen Sata.E Kyuun
Dair Nahin Haram Nahin Dar Nahin Astan Nahin
Baithe Hain Rahguzar Pe Ham Ghair Hamen Utha.E Kyuun
Jab Vo Jamal-E-Dil-Faroz Sūrat-E-Mehr-E-Nim-Roz
Aap Hi Ho Nazzara-Soz Parde Men Munh Chhupa.E Kyuun
Dashna-E-Ghamza Jan-Sitan Navak-E-Naz Be-Panah
Tera Hi Aks-E-Ruḳh Sahi Samne Tere Aa.E Kyuun
Qaid-E-Hayat O Band-E-Gham Asl Men Donon Ek Hain
Maut Se Pahle Aadmi Gham Se Najat Paa.E Kyuun
Husn Aur Us Pe Husn-E-Zan Rah Ga.I Bul-Havas Ki Sharm
Apne Pe E'timad Hai Ghair Ko Azma.E Kyuun
Vaan Vo Ghurūr-E-Izz-O-Naz Yaan Ye Hijab-E-Pas-E-Vaza.A
Raah Men Ham Milen Kahan Bazm Men Vo Bula.E Kyuun
Haan Vo Nahin ḳhuda-Parast Jaao Vo Bevafa Sahi
Jis Ko Ho Diin O Dil Aziiz Us Ki Gali Men Jaa.E Kyuun
'Ghalib'-E-ḳhasta Ke Baghair Kaun Se Kaam Band Hain
Roiye Zaar Zaar Kya Kijiye Haa.E Haa.E Kyuun