Add Poetry

Dil Mein Ek Lahr Si Uthi Hai Abhi

Poet: Nasir Kazmi By: Khawaja Mussadiq Rafiq, Karachi

Dil Men Ik Lahr Si Uthi Hai Abhi
Koi Taaza Hava Chali Hai Abhi

Kuchh To Nazuk Mizaj Hain Ham Bhi
Aur Ye Chot Bhi Na.I Hai Abhi

Shor Barpa Hai Khana-E-Dil Men
Koi Divar Si Giri Hai Abhi

Bhari Duniya Men Ji Nahin Lagta
Jaane Kis Chiiz Ki Kami Hai Abhi

Tu Sharik-E-Sukhan Nahin Hai To Kya
Ham-Sukhan Teri Khamushi Hai Abhi

Yaad Ke Be-Nishan Jaziron Se
Teri Avaz Aa Rahi Hai Abhi

Shahr Ki Be-Charagh Galiyon Men
Zindagi Tujh Ko Dhundti Hai Abhi

So Ga.E Log Us Haveli Ke
Ek KhiḌki Magar Khuli Hai Abhi

Tum To Yaaro Abhi Se Uth Baithe
Shahr Men Raat Jagti Hai Abhi

Vaqt Achchha Bhi Aa.Ega 'Nasir'
Gham Na Kar Zindagi PaḌi Hai Abhi

Rate it:
Views: 1088
04 Nov, 2019
More Nasir Kazmi Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets