Add Poetry

Dil Mera Soz E Nihaan Se

Poet: GHALIB By: WASHMA KHAN, MOSCOW

Dil Mera Soz E Nihaan Se Be-Muhaaba Jal Gaya
Aatish E Khaamosh Ki Maanind Goya Jal Gaya
Dil Mein Zouq E Vasl O Yaad E Yaar Tak Baaqi Nahin
Aag Is Ghar Mein Lagi Aisi Ke Jo Tha Jal Gaya
Main Adam Se Bhi Paray Hoon Verna Ghaafil! Baarha
Meri Aah E Aatsheen Se Baal E Anqa Jal Gaya
Arz Keejay Johar E Andesha Ki Garmi Kahaan!
Kuch Khyaal Aaya Tha Vehshat Ka Ke Sehra Jal Gaya
Dil Nahin, Tujh Ko Dikhaata Verna, Daaghon Ki Bahaar
Is Chiraaghaan Ka, Karoon Kya, Kaarfarma Jal Gaya
Main Hoon Aur Afsurdagi Ki Aarzoo, Ghalib! Keh Dil
Dekh Kar Tarz E Tapaak E Ehl E Duniya Jal Gaya
 

Rate it:
Views: 1517
04 Jan, 2012
Related Tags on Mirza Ghalib Poetry
Load More Tags
More Mirza Ghalib Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets