Din Salike Se Uga Raat Thikane Se Rahi
dosti apni bhi kuchh rose zamane se rahi
chand lamhon ko hi banti hain musavir ankhen
zindagi roz to tasvir banane se rahi
is andhere men to thokar hi ujala degi
raat jangal men koi shama jalane se rahi
fasla chand bana deta hai har patthar ko
door ki raushni nazdik to ane se rahi
shahr men sab ko kahan milti hai rone ki jagah
apni izzat bhi yahan hansne hansane se rahi