Diya Jab Jam-E-Mai Saqi Ne Bhar Ke
To Pachhtae Bahut Hum Tauba Kar Ke
To Ro Dete Hain Hum Ek Aah Bhar Ke
Hui Hai Qaid Se Bad-Tar Rihai
Dimagh Apna Na Kyun Kar Arsh Par Ho
Koi Din Yun Bhi Dekho Sabr Kar Ke
Gulon Ke Ishq Men De Jaan Bulbul
Jo Kahte Hain Dikha Dete Hain Kar Ke
Ye Samjho To Gada Hain Kis Ke Dar Ke
Wahan Se Aa Ke Uski Bhi Phiri Aankh
Koi Jab Puchhta Hai Haal Dil Ka
Kiya Aazad Usne Par Katar Ke
Tere Andaz Is Nichi Nazar Ke
Are Ye Hausle Ek Musht Par Ke
Rahenge Khak Men Hum Ko Mila Kar
Khuda Mahfuz Rakkhe Unki Zid Se
Ki Phir Jita Nahin Hai Koi Mar Ke
Lipat Jao Gale Se Waqt-E-Akhir
Wo Tewar Hi Nahin Ab Nama-Bar Ke
Hafiz Ab Nala O Fariyaad Chhodo
Mite Jate Hain Jhagde Umr Bhar Ke
Uthe Jate Hain Lo Duniya Se Hum Aaj