Do Chaar Gam Rah Ko Hamwar Dekhna
phir har qadam pe ik nai divar dekhna
ankhon ki raushni se hai har sang aina
har aaine men khud ko gunahgar dekhna
har admi men hote hain das biis admi
jis ko bhi dekhna ho kai baar dekhna
maidan ki haar jiit to qismat ki baat hai
tuti hai kis ke haath men talvar dekhna
dariya ke is kinare sitare bhi phul bhi
dariya chadha hua ho to us paar dekhna
achchhi nahin hai shahr ke raston se dosti
angan men phail jaae na bazar dekhna