Yun Dost Saarey Apney Apney Rastey Badal Gaye
Kuch Peechey Ruk Gaey To Kuch Aagey Nikal Gaye
Haalaat Ki Dhoop Zaraa Si Deir Ko Teiz Kya Hui
Jitney Wafaa Kay Peikar They Saarey Pighal Gaye
Waadoo Kay Taarey Raatoo Sey Baahar Na Jaa Sakey
Iraadoo Kay Din Nikalney Sey Pehley Hi Dhal Gaye
Wafaaon Kay Rang Shabnam Kay Qatroo Ney Dho Deeye
Mohabbat Kay Phool Jazboo Ki Shiddat Sey Jal Gaye
Taanoo Kay Teer Dunya Ki Kamaanoo Pay Jab Charrhey
Sabar Kay Daaman Haathoo Sey Yak Dam Phisal Gaye
Aankhein Khulein To Khawaboo Ko Bura Laga Magar
Kuch Deir Wo Reh Ke Muztarib Khud Hi Behal Gaye
Pehley Pehal To Ajeeb Lagey Badley Huwey Chehrey
Phir Yun Huwa Kay Waqt Kay Saath Hum Bhi Sambhal Gaye