Add Poetry

Dosti Kia He

Poet: NS By: NS, lahore

Kia Khabar Tum Ko Dosti Kia Hai
Ye Roshni Bhi Hai Andhera Bhi Hai

Khwahishon Say Bhara Jazeera Bhi Hai
Bohat Anmol Ik Heera Bhi Hai

Dosti Ik Haseen Khwab Bhi Hai
Pass Say Dekho Tou Sarab Bhi Hai

Dukh Milnay Pe Ye Azab Bhi Hai
Aur Ye Piyar Ka Jawaz Bhi Hai

Dosti Yoon Tou Maya Jaal Bhi Hai
Ik Haqeeqat Bhi Hai Khayal Bhi Hai

Kabhi Furqat Kabhi Vissal Bhi Hai
Kabhi Zameen Kabhi Falak Bhi Hai

Dosti Jhoot Bhi Hai Such Bhi Hai
Dil Main Reh Jaiay Tou Kassuk Bhi Hai

Kabhi Ye Haar Kabhi Jeet Bhi Hai
Dosti Saaz Bhi Sangeet Bhi Hai

Sheir Bhi Nazam Bhi Geet Bhi Hai
Wafa Kia Hai Wafa Bhi Dosti Hai

Dil Say Nikli Dua Bhi Dosti Hai
Bus Itna Samajh Lay Tou
Piyar Ki Inteha Bhi Dosti Hai

Rate it:
Views: 1997
23 May, 2009
Related Tags on Friendship Poetry
Load More Tags
More Friendship Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets