Add Poetry

Dosti

Poet: unknow By: sania chdry, multan

Phir Kabhi Logon Ki Baton Main Nahi Aay Ga Wo
 Dekh Lena Mujh Sy Mil Ke Theek Ho Jay Ga Wo
 Lekin Is Ko Tool De Ke Khoob Phelay Ga Wo

 Choti Choti Ranjishon Ko Bhool Jana Chahiye
 Jany Is Nuqty Ko Aakhir Kab Samajh Pay Ga Wo

 Us Ki Khatir Main To Is Dunya Se Kat Ke Reh Gai
 Wo Zamana Saz Hai Acha To Reh Lay Ga Wo

 Sulah To Kary Ga Mujh Se Lekin Us Ke Baad
 Jab Mily Ga Bus Ye Hi Ahsan Jatlay Ga Wo

 Main Bhi Kuch Aysi Gai Guzri Nahi Kah Do Usy
 Aankh Utha Kar Bhi Na Dykhon Gi Pachtaay Ga Wo

 Dykho Shabnum Ye Ghazal Us Tak Bhi Pohanchy Gi
 Zaror Phir Na Kaurhna Byth Kar Jab Or Wo Itraay Ga Wo


Rate it:
Views: 1427
13 Nov, 2007
Related Tags on Friendship Poetry
Load More Tags
More Friendship Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets