Add Poetry

Dukhter-e-Kashmir

Poet: Abdul Nasir Jamal By: ABDUL NASIR, LONDON

Jis Ne Chuna Hai Khud Hi Shahadat Ka Rasta
Us Dukhter-E-Kashmir Ke Anchal Ka Wasta
Aage Bhado Aur Bhad Ke Ye Zanjeer Tode Do
O Ghasibo O Zalimo Khamir Chod Do

Beti To Ghar Ki Shaan Hai, Aur Jug Ka Maan Hai
Mama Ki Ladli Hai To Papa Ki Jaan Hai
Is Per Gawah Ye Zameen Ye Asman Hai
In Nunney Answon Se Ye Dunia Jhanjod Do

O Ghasibo O Zalimo Khamir Chod Do

Pellet Ganoon Se Kitnon Ki Ankhen Chali Gaeen
Be Jurm Jin Pe Golian Yakser Baras Gaeen
Betay Hain Qaid Jail Mein Manhen Taras Gaeen
Sena Ke Antakiun Ka To Bhanda Hi Phod Do

O Ghasibo O Zalimo Khamir Chod Do

Kia Aurtoon Pe Haath Uthatey Ho Buzdilo
Is Zulm-O Istabdad Ka Kuch To Jawab Do
Maani Hai Hum Ne Haar Na Maaney Gey Jaan Lo
Tum Zhakhm Ab Hazaar Do Chahey Kadod Do

O Hitlaro, Dictatoro Kashmir Chod Do

Kis Moonh Se Keh Rahey Ho Ke Beti Padaho Gey ?
Ghundoon Se Mehilaon Ki Hizzat Bachao Gey ?
Kashmir Mein Phir Ilm Ke Deepak Jalao Gey ?
Batil Ke Is Tofaan Ka To Mukh Hi Mode Do

O Ghasibo O Zalimo Kashmir Chod Do

Hai Aman Aur Shanti Khitta-E- Azad Mein
Mirpur Mein Kotli Mein Aur Muzaffarabad Mein
Rehtey Hain Ashkqbar Jo Apnon Ki Yaad Mein
Kashmir Ko Kashmir Se Ik Baar Jode Do

Aagey Bado Aur Bad Ke Ye Zanjeer Tode Do
O Ghasibo O Zalimo Kashmir Chod Do

Jis Ne Chuna Hai Khud Hi Shahadat Ka Rasta
Us Dukhter-E-Kashmir Ke Anchal Ka Wasta
Aagey Bhado Aur Bhad Ke Ye Zanjeer Tode Do
O Ghasibo O Zalimo Kashmir Chod Do

Abdul Nasir Jamal


 

Rate it:
Views: 1510
06 Feb, 2018
More Patriotic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets