Jahaan Main Hain Ebrat K Har Su Namune
Magar Tujh Ko Andha Kia Rang-O-Bu Ne
Kabhi Ghor Se Ye Bhi Deekha Hai Tu Ne
Jo Mamoor The Woh Mahal Ab Hain Sune
Jagah Ji Lagane Ki Dunia Nahi Hai
Yeh Ebrat Ki Jaah Hai Tamaasha Nahi Hai
Tujhe Pehle Bachpan Ne Barsoon Khilaaya
Jawaani Ne Phir Tujh Ko Majnoo Banaya
Burhaape Ne Phir Aa Ke Kia Kia Sataya
Ajal Tera Kar De Gi Bilkul Safaya
Jagah Ji Lagane Ki Dunia Nahi Hai
Yeh Ebrat Ki Jah Hai Tamaasha Nahi Hai
Hui Yeh Khawahish Rahoon Sab Se Aala
Ho Zeenat Niraali Ho Fashion Niraala
Jia Karta Hai Kia Yunhi Marne Waala
Tujhe Husne Zaahir Ne Dhooke Main Daala
Jagah Ji Lagane Ki Dunia Nahi Hai
Yeh Ebrat Ki Jah Hai Tamaasha Nahi Hai