Add Poetry

Duniya Mein Kaun Kaun Na Yak

Poet: Khwaja Mir Dard By: Danish Afzal, Faisalabad

Duniya Mein Kaun Kaun Na Yak Baar Ho Gaya
Par Munh Phir Is Tarf Na Kiya Us Ne Jo Gaya

Phirti Hai Meri Khaak Saba Dar-B-Dar Liye
Ai Chashm-E-Ashkbaar Yeh Kya Tujh Ko Ho Gaya

Aagah Is Jahaan Mein Nahin Ghair Be Khudaan
Jaaga Wahi Idhar Se Jo Mund Ankh So Gaya

Tufaan-E-Noah Ne To Dubai Zamin Faqt
Main Nang-E-Khalq Saari Khudaai Dabo Gaya

Barham Kahin Na Ho Gul-O-Bulbul Ki Asshti
Darta Hun Aaj Baagh Mein Woh Tund Khu Gaya

Waiz Kise Darawe Hai Yom-Ulhisab Se
Giriya Mera To Naama-E-Aamal Dho Gaya

Phulenge Is Zabaan Mein Bhi Gulzar-E-Maarfat
Yaan Main Zamin-E-Sheir Mein Yeh Tukhm Bo Gaya

Aya Na Aitdaal Par Hargiz Mazaaj-E-Dahar
Main Garche Garm-O-Sard-E-Zamana Samo Gaya

Ai Dard Jis Ki Ankh Khuli Is Jahan Mein
Shabnam Ki Tara Jaan Ko Apni Woh Ro Gaya
 

Rate it:
Views: 2637
24 Aug, 2012
Related Tags on Khwaja Mir Dard Poetry
Load More Tags
More Khwaja Mir Dard Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets