Add Poetry

Ehtram-e-Masjid

Poet: Fayaz Mohammed (Shakir) By: Fayaz Mohammed Shaikh, Mumbai-India

Ehtram-e-Masjid Ko Paamal Kar Rahe Hain
Ye Dekho Nau-Jawa’n Kya Kya Kar Rahe Hain

Itni Bhi Aql Nahi Do Din Ki Jawani Mein
Apne Aapko Khuda Ke Samne Ruswa Kar Rahe Hain

Saarey Zamane Ki Batein Chal Rahi Hain Yahan
Baithey Baithey Apni Nekiyo Ko Zaaya Kar Rahe Hain

Masjid Khuda Ka Ghar Hai, Ye Sabko Pata Hai Magar
Phir Bhi Kuch Log Yahan Apna Hi Karobar Kar Rahe Hain

Kitni Veeran Hain Masjidein Yahan Aaj Ke Is Daur Mein
Na-jane Aur Kitni “Babri” Shahid Karwa Rahe Hain

Iski Azmat Ki Khatir Na Jane Kitne Hi Log
Apni Jaano Ko Yaha Qurban Kar Rahe Hain

Taarikh Ke Aaine Mein Shakir, Kya Tumne Nahi Dekha ?
Kitne Hi Ja-nisaar Yahan Sabr Ka Paigham De Rahe Hain
 

Rate it:
Views: 3253
29 Oct, 2014
More Religious Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets