Add Poetry

Eid Ka Din Hai Gale Aaj To Mil Le Zalim Rasm-E-Dunia Bhi Hai Moqa Bhi

Poet: Shahbaz Ahmed By: Shahbaz Ahmed, jhimpir,sindh

Eid Ka Din Hai Gale Aaj To Mil Le Zalim
Rasm-e-Dunia Bhi Hai
Moqa Bhi Hai
Dastoor Bhi Hai
Ishq Is Tarha K Gustakh Taqaze Na Kare
Husn Mastoor Bhi
Majboor Bhi
Maghroor Bhi Hai
Gharoor-e-Husn K Sadqe Mohabbat Youn Nahi Karte
Bhari Mehfil Mein Zahir Dil Ki Wehshat Youn Nahi Karte
Ye Mana Tum Haseen Ho Aur
Tumhain Haq Hai Shararat Ka
Kisi Ki Jan Pe Bann Jaye Shararat Youn Nahi Karte
Jise Tum Husn Kehte Ho Wo Kaba Hai Nighahon Ka
Adaab Laazim Hai Kabe Ki Ziarat Youn Nahi Karte
Kuch Apne Husn Ki Khairat De Do Humain
Kisi Sail Ko Apne Dar Se Rukhsat Youn Nahi Karte
Haya Aur Sharm Hum Ko Husn Zaiwar Samajhte Hain
Ye Zaiwar Lut K Reh Jaye Sakhawat Youn Nahi Karate
Tumhari Ek Nazar Par Faisla Hai Zindgani Ka
Maseeha Ho K Bemaron Se Ghaflat Youn Nahi Karte
Aap Ne Jo Kaha Wo Theek Sahi
Mera Kehna Bhi Bura Nahi
Eid Ka Din Hai Gale Aaj To Mil Le Zalim

Rate it:
Views: 2976
25 Jul, 2014
More Eid Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets