✕
Poetry
Famous Poets
Allama Iqbal
Ahmed Faraz
Amjad Islam Amjad
Wasi Shah
Parveen Shakir
More Poets
Poetry Categories
Love Poetry
Sad Poetry
Friendship Poetry
Islamic Poetry
Punjabi Poetry
More Categories
Poetry SMS
Poetry Images
Tags
Poetry Videos
Featured Poets
Post your Poetry
News
Business
Mobile
Articles
Islam
Names
Health
Shop
More
WOMEN
AUTOS
ENews
Recipes
Poetries
Results
Videos
Directory
Photos
Business & Finance
Education News
Add Poetry
Home
LOVE POETRY
SAD POETRY
FAMOUS POETS
POETRY IMAGES
POETRY VIDEOS
NEWS
ARTICLES
MORE ON POETRY
Home
Urdu Poetry
Featured Poets
Ejaz parker
Search
Add Poetry
Poetries by Ejaz parker
K Tumko Khoo Diya Mein Ne!
Mujhe Tum Bhool Jao Gi
Kaha Tha Aik Din Mein Ne
Wo Boli
Ho Nahi Sakta
Tujhe Mein Kho Nahi Sakti
K Meri Jaan Tujh Mein Hai
Mera Armaan Tujh Mein Hai
Tujhe Jis Din Na Mein Dekhoon
Mein Us Shabb So Nahi Sakti
Kabhi Ye Ho Nahi Sakta
Tujhe Mein Kho Nahi Sakti
Mila Hai Khat Jisay Parh K
Lahoo Sa Ro Diya Mein Ne
Likha Hai
“Bhool Jao Tum”
K Tum Ko Kho Diya Mein Ne
Ejaz Parker
Copy
Bhool jata hun
Tumhara Naam Likh Likh Ker
Mitana Bhool Jata Hoon
Tumhein Jab Yaad Karta Hoon
Bhulana Bhool Jata Hoon
Boht Si Aisi Baatein Hain Jo Mere Dil Mai Rehti Hain
Magar Jab Tum Se Milta Hoon
Sunana Bhool Jata Hoon
Tumhare Baad Ab Her Pal Bari Mushkil Se Kat-Ta Hai
Mai Aksar Tum Ko Khuwabon Mai
Batana Bhool Jata Hoon
Mai Her Shaam Kehta Hoon Tum Ko Bhool Jaoonga
Magar Jab Subah Hoti Hai
Iraada Bhool Jata Hoon
Ejaz Parker
Copy
Ya Rub Mere Watan Ko Kiss Ki Nazar Lagi Hai
Har Aankh Me Behty Huay Ashkoon Ki Lari Hay
Chup Reh Mery Hamwatan, Qiyamat Ki Ghari Hay
Hota Hai ...Kuch Gumaa Sa Maidaan-E-Hashar Ka
Har Aik Musalman Ko Apni Hi Pari Hay
Mit Jaay Mera Dais Ye Haalaat Bana Kar
Atraaf Ki Har Qom Tamashay Pe Khari Hay
Phir Surkh Surkh Hai Mery Daryaon Ka Pani
Lagta Hai Kaheen Khon Ki Barsaat Pari Hay
Yaa Rab Yeh Gaya Saal Na Phir Loat Kar Aay
Yadain Sabhi Talkh Hain Toh Iis Say Juri Hay
Kahin Baap Ashkbar K Baita Nahi Milta
Kahin Baiti Hay Muntazir, Baba K Deed K
Kahin Suhag Ka Rona Kahin Haalaat Ki Shiddat
Rishton Ka Takadus Na Lahoo May Woh Hiddat
Darindagi Barpa Hay Mairay Dais May Har Sou
Khushion Ka Moyassar Nahi Ik Pal Mairay Moula
Aasar-E-Hashr Hain Yah Kayamat Ki Ghari Hay
Har Ankh Tairay Agay Ashkbar Khari Hay
Maafi K Talabgar Hain Tou Bakhsh Day Hum Ko
Na Samajh Hain Toh Thori Si Samajh Day Hum Ko
Khushion Say Bhara Abke Naya Saal Day Hum Ko
Darakhtoon Pay Chahaktay Parindo Ki Ho Mahfil
Aangan May Khailtay Hoay Bachhon Ki Sada Ho
School May Bachchon Ko Koi Khauf Bhi Na Ho
Bazar Ko Jatay Koi Dar Bhi Na Ho Dil May
Ho Amn Ka Mahool Maray Saray Watan May
Kamzoor Hain Saray Tairay Banday Mairay Maula
Bari Sakht Imtahan Ki Ghari Aan Pari Hay
Hay Dast-E-Dua Buland, Tairay Darbar May Malik
Larzan Hain Nutq-O-Lab Ankhoon May Nami Hay
Yeh Naya Saal Ho Pur Amn Ameen Ya Kareem
Toh Daita Hay Kab Tairay Khazanoo May Kami Hay
Ejaz Parker
Copy
Mulaqat
Tere Ghamo Ko Apni Rooh Main Utaar Lon
Zindagi Teri Chahat K Rang Main Sanwaar Lon
Mulakat Ho Tujh Se Kuch Is Tarah
K Tamam Umer Ik Mulakat Me Guzar Lon
Ejaz Parker
Copy
Chalo Mein Batao Kya Ho Tum
Chalo Mein Batao Kya Ho Tum
Meray Liye Meri Duniya Ho Tum
Chu Kar Jo Guzri Woh Hawa Ho Tum
Mein Ney Jo Mangi Woh Dua Ho Tum
Karey Mujh Ko Jo Roshan Woh Diya Ho Tum
Dil Yeh Kahey Mera Jiya Ho Tum
Kiya Mein Ney Mahsoos Woh Ehsaas Ho Tum
Meray Honto Ki Pyaas Ho Tum
Meray Baahon Ki Aas Ho Tum
Meri Nazar Ki Talaash Ho Tum
Meri Zameen Ka Akaash Ho Tum
Meray Chehrey Ki Kashish Ho Tum
Meray Sitaron Ki Gardish Ho Tum
Meri Zindagi Ka Karaar Ho Tum
Mein Ney Jo Chaha Woh Pyaar Ho Tum
Meray Intizaar Ki Raahat Ho Tum
Meray Dil Ki Chaahat Ho Tum
Tum Ho To Yeh Duniya Hai Meri
Kaisey Kahoo Key Meri Jaan Ho Tum
Ejaz Parker
Copy
Tujhe Mujh Se Nahi Khud Se Hi Mohabbat Hojati
Mere Lafzon Ki Pehchan Agar Kar Leti Anoofas
Tujhe Mujh Se Nahi Khud Se Hi Mohabbat Hojati
Ejaz Parker
Copy
Chahat Ab Bhi Baki Hai
Ana Ki Baat Hai Warna Mohabbat Ab B Baki Hai
Usay Meri Mjhe Uski Zarorat Ab B Baki Hai
Koi Mushkil Agar Darpaish Aye Laut Ana Tum
Tumhare Waste Dil Mie Aqeedat Ab B Baki Hai
Bala Ki Sard Mehri Hai Meri Har Baat Mie Lekin
Mere Seenay Mien Chaht Ki Hararat Ab B Baki Hai
Ejaz Parker
Copy
Halat Ki Tarha
Guzry Dinon Ki Bhuli Hui Bat Ki Tarha
Ankhon Main Jagta Hai Koi Rat Ki Tarha
Os Se Umeed Thi K Nabhaye Ga Sath
Magar Wo B Badal Gya Mery Halaat Ki Tarha
Ejaz Parker
Copy
Mujh Ko Tanha Kar Gaya
Kya Khabar Thi, Maar De Ga Zindagi Karne Ka Shaoq
Mujh Ko Tanha Kar Gaya Hai Dosti Karne Ka Shaoq
Go Meri Aoqaat Jugnoo Ke Baraabar Bhi Nahi
Par Hai Sooraj Se Zyaada Raoshani Karne Ka Shaoq
Jab Se Chooma Hai Jabeen Ne Aap Ki Dehleez Ko
Mere Dil Ma Barh Gaya Hai Bandagi Karne Ka Shaoq
Jaane Kis Barsaat Ki Maqrooz Hain Aankhein Meri
Ho Gaya Hai Baarishon Ki Pairawi Karne Ka Shaoq
Ejaz Parker
Copy
Soch Lena
Soch Lena Kadaam Uothaney Sey Pehle
Kaheen Kho Na Jao Manzil Aneye Sey Pehley
Mukhlis "Dost" Sey Mehroom Ho Na Jao Tum Kaheen
Ye Soch Lena "Humein" Aazmaney Sey Pehleye
Aandhiyaan Bohaat Be Rehaam Hoti Haien
Ye Soch Lena Koi "Dia" Jalaney Sey Pehlaye
Apney Damman Ko Pholoun Sey Sajaye Rakhna
Phool Sare Chun Lena "Khizan" Anaye Sey Pehley
Tumharey Siney Me Bhi Dharakta Howa "Dil" Hey
Ye Soch Lena Kise Ka Dil Dukhanaye Sey Pehlaye
Ejaz Parker
Copy
Tujhe Khud Se MOHABBAT Hojati
Mere Lafzon Ki Pehchan Agar Kar Leti "ANOOFAS"
Tujhe Mujh Se Nahi Khud Se Hi 'MOHABBAT' Hojati
Ejaz Parker
Copy
Zindagi Teri Chahat k
Tere Ghamo Ko Apni Rooh Main Utaar Lon
Zindagi Teri Chahat K Rang Main Sanwaar Lon
Mulakat Ho Tujh Se Kuch Is Tarah
K Tamam Umer Ik Mulakat Me Guzar Lon
Ejaz Parker
Copy
Tu Hi Bata, Tujhe Me K Se Bhool Jaow
Dard K Us Raqs Ko Kese Bhool Jaown
Ankhon Me Chupe Aks Ko Kese Bhool Jaown
Jis Ne Is Bebas Ko Jiney Ki Arzoo Di
Dil Me Basey Us Shakhs Ko Kese Bhool Jaown
Zindagi To Guzar Hi Jaye Gi Tere Bin Bhi
Anoofas Tu Hi Bata, Tujhe Me K Se Bhool Jaown
Ejaz Parker
Copy
Ab Aeysi Mohabbat Kya Karni
Ab Aeysi Mohabbat Kya Karni
Jo Neend Chura Lay Ankhon Say
Jo Khuwab Dikha Kar Pholon K
Tabeer Me Kantey De Jaye
Jo Ghum Ki Kaali Ratoon Say
Har Aas Ka Jugnoo Ley Jaye
Jo Khuwab Sajati Ankhon Ko
Anso Hi Anso De Jaye
Jo Muskil Kar De Jeenay Ko
Jo Marney Ko Aasan Kare
Wo Dil Jo Pyar Ki Ibadatgah Ho
Wo Yaadoo Ko Mehman Kare
Kehney Ko Mohabbat Hai Laykin
Ab Aeysi Mohabbat Kya Karni
Ejaz Parker
Copy
Tughe Bhoola Nahi Sakte
Mohabbat Kar To Li Humne, Mohabbat Paa Nahi Sakte
Bhoot Kheney Ki Khuwahish Hai, Magar Bata Nahi Sakte
Teri Batein,Teri Yadain, Hamara Dil Dukhati Hai
Bhoot Takleef Hoti Hai,Tujhe Suna Nahi Sakte
Tere Sath Chalna Hai, Teri Manzil Bhi Banna Hai
Bhoot Thak Gaye Hai Hum, Ab Aage Ja Nahi Sakte
Suno Hum Toot Jayenge, Hamay Ke Se Sametto Ge
Ke Mar K Bhi Meri Jaan "Anoofas" Tujhe Bhula Nahi Sakte
Ejaz Parker
Copy
Yaa Rab Yeh Gaya Saal
Har Aankh Me Behty Huay Ashkoon Ki Lari Hay
Chup Reh Mery Hamwatan, Qiyamat Ki Ghari Hay
Hota Hai ...Kuch Gumaa Sa Maidaan-E-Hashar Ka
Har Aik Musalman Ko Apni Hi Pari Hay
Mit Jaay Mera Dais Ye Haalaat Bana Kar
Atraaf Ki Har Qom Tamashay Pe Khari Hay
Phir Surkh Surkh Hai Mery Daryaon Ka Pani
Lagta Hai Kaheen Khon Ki Barsaat Pari Hay
Yaa Rab Yeh Gaya Saal Na Phir Loat Kar Aay
Yadain Sabhi Talkh Hain Toh Iis Say Juri Hay
Kahin Baap Ashkbar K Baita Nahi Milta
Kahin Baiti Hay Muntazir, Baba K Deed K
Kahin Suhag Ka Rona Kahin Haalaat Ki Shiddat
Rishton Ka Takadus Na Lahoo May Woh Hiddat
Darindagi Barpa Hay Mairay Dais May Har Sou
Khushion Ka Moyassar Nahi Ik Pal Mairay MoulaAasar-E-Hashr Hain Yah Kayamat Ki Ghari Hay
Har Ankh Tairay Agay Ashkbar Khari Hay
Maafi K Talabgar Hain Tou Bakhsh Day Hum Ko
Na Samajh Hain Toh Thori Si Samajh Day Hum Ko
Khushion Say Bhara Abke Naya Saal Day Hum Ko
Darakhtoon Pay Chahaktay Parindo Ki Ho Mahfil
Aangan May Khailtay Hoay Bachhon Ki Sada Ho
School May Bachchon Ko Koi Khauf Bhi Na Ho
Bazar Ko Jatay Koi Dar Bhi Na Ho Dil May
Ho Amn Ka Mahool Maray Saray Watan May
Kamzoor Hain Saray Tairay Banday Mairay Maula
Bari Sakht Imtahan Ki Ghari Aan Pari Hay
Hay Dast-E-Dua Buland, Tairay Darbar May Malik
Larzan Hain Nutq-O-Lab Ankhoon May Nami Hay
Yeh Naya Saal Ho Pur Amn Ameen Ya Kareem
Toh Daita Hay Kab Tairay Khazanoo May Kami Hay
Ejaz Parker
Copy
Usey Meri Amanat Kar De
Woh Reh Na Paaey Ik Pal Bhi Mere Bina
Aey Khuda Tu Usko Meri Aadat Si Kar De
Itna Toot Kar Chahoon Main Usko
K Meri Chahat Ko Uski Ibadat Si Kar De
Koi Chuw Na Paaye Apne Khayalat Me Bhi Usko
Har Ek K Zehan Me Uski Hifazat Si Kar De
Band Ankhow Me Bhi Dheak Paown Us Ko
Meri Nazroon Ko Aeysi Ijaazat Si Kar De
Rakhon Ga Khayal Uska Umar Bhar K Liye
Bas Ab Wo Apne Aap Ko Meri Amanat Kar De
Anoofas Ko Sirf Meri Amanat Kar De
Ejaz Parker
Copy
Koi Mujhe Bhoola Nahi Sakta
Mujhe Apne Kirdar Pe Itna To Yaqeen Hia Anoofas
Tu Mughe Chor To Sakti Hai Magar Bhoola Nahi Sakti
Ejaz Parker
Copy
Us K Ho Jana
Suna Hai Or Koi Bhi Chahaney Laga Hai Tumhain
Hum Ne Agar Toot K Na Chaha To
Us K Ho Jana
Hum Ne Tumhari Yaad Main Aansoo K Darya Baha Diye
Uski Aankhon Me Nami Bhi Aajaye To
Us K Ho Jana
Hum Ne Tumhari Khatir Khud Ko Jala Diya
Usney Agar Pehlu Bhi Jala Bhi Diya To
Us K Ho Jana
Hum Ne Tumhari Khatir Neend Bhi Kurban Kar Di
Us Ne Agar Ek Shab Bhi Tumhare Nam Kardi To
Us K Ho Jana
Ejaz Parker
Copy
Me Duniya Bhol Jata Hun
Nazar Jab Tum Se Milti Hia, Main Khud Ko Bhul Jata Hun
Bus Ek Dharkan Dharakti Hai, Main Khud Ko Bhul Jata Hun
Tumhain Milne Se Pehlay Bhoot Sajta Sanwarta Hun
Magar Jab Tum Sanwarti Ho Me Khud Ko Bhul Jata Hun
Me Aksar Kitabo Par Tera Hio Nam Likhta Hun
Magar Kuch Tum Jo Likhti Ho Me Khud Ko Bhul Jata Hun
Me Aksar Yehi Kheta Hun "Anoofas" Me Tum Se Pyar Karta Hun
Magar Jab Tum Ye Kheti Ho Me Duniya Bhol Jata Hun
Ejaz Parker
Copy
Load More
Famous Poets
Mirza Ghalib
Allama Iqbal
Ahmed Faraz
Amjad Islam Amjad
Wasi Shah
Parveen Shakir
Faiz Ahmed Faiz
Munir Niazi
Jaun Elia
Gulzar
Tahzeeb Hafi
Ali Zaryoun
View More Poets