Ek Hijrat Ki Awazon Ka

Poet: Ali Zaryoun By: Zaid, Peshawar

Ek Hijrat Ki Awazon Ka

koi bain sune darwazon ka

zakariyya peron ki mat sun

ye jangal hai khamyazon ka

tere sar mein soz nahin pyare

tu ahl nahi mere sazon ka

auron ko salahen deta hai

koi dasa hua andazon ka

mera nakhra karna banta hai

main ghazi hun tere ghazon ka

ek redhi wala munkir hai

teri topon aur jahazon ka

Rate it:
Views: 1390
18 Jan, 2021