Ek Se Silsile Hain Sab Hijr Ki Rut Bata Gai
Phir Wahi Subah Ayegi Phir Wahi Sham A Gai
Mere Lahu Main Jal Uthe Utne Hi Taza Dam Chirag
Waqt Ki Sazishi Hawa Jitne Diye Bujha Gai
Main Bhi Ba-Pas-E-Dostan Apne Khilaf Ho Gaya
Ab Yahi Rasm-E-Dosti Mujhko Bhi Ras A Gai
Tund Hawa K Jashn Main Log Gaye To The Magar
Tan Se Koi Qaba Chini Sar Se Koi Rida Gai
Dil-Zadgan K Qafile Dur Nikal Chuke Tamam
Un Ki Talash Main Nigah Ab Jo Gai To Kya Gai
Akhir-E-Shab Ki Dastan Aur Karen Bhi Kya Bayan
Ek Hi Ah-E-Sard Thi Sare Diye Bujha Gai