Eik tha pyara mian khargosh,
Nahi tha jis ko koi hosh,
Banata tha yo khayali pulao,
Aur phir kehta tha “ayo aur khao”,
Hote the us ko har roz kharish,
Kionke nahata tha, jab hote the barish,
Dekhta tha yo har waqt khawab,
Aur karta tha har kaam kharab,
Eik din khala ne samjhaya,
Aur us ko bhi hosh aya,
Waqt hai sab se bara khazana,
Us ko na lotana, us ne jana,
Mehnat se us ne kamaye shaan,
Ab hai yo pooray khandaan ke jaan.