Add Poetry

Farogh-E-Dida-O-Dil Lala-E-Sahar Ki Tarah

Poet: Ali Sardar Jafri By: Kiran, khi

Farogh-E-Dida-O-Dil Lala-E-Sahar Ki Tarah
Ujala Bin Ke Raho Sham-E-Rahguzar Ki Tarah

Chamak Raha Hun Isi Waste Guhar Ki Tarah
Payam-E-Shauq Bano Daulat-E-Hunar Ki Tarah

Tamam Koh O Tal O Bahr O Bar Hain Zer-E-Nagin
Guzar Ke Khaar Se Ghunche Se Gul Se Shabnam Se

Ye Zindagi Bhi Koi Zindagi Hai Ham-Nafaso
Sitara Ban Ke Jale Bujh Gae Sharar Ki Tarah

Tamam Daulat-E-Kaunain Hai Khiraj Us Ka
Khula Hua Hun Main Shahin Ke Baal-O-Par Ki Tarah

Meri Nawa Men Hai Lutf-O-Surur-E-Subh-E-Nashat
Payambaron Ki Tarah Se Jiyo Zamane Men

Khizan Ke Dast-E-Sitam Ne Mujhe Chhua Hai Magar
Na Misl-E-Shahd Hun Shirin Na Main Shakar Ki Tarah

Ye Fatehana Ghazal Asr-E-Nau Ka Hai Aahang
Dara Saki Na Mujhe Tirgi Zamane Ki

Main Dil Men Talkhi-E-Zahrab-E-Gham Bhi Rakhta Hun
Buland O Past Ko Dekha Hai Dida-War Ki Tarah

Ye Dil Nahin Kisi Lute Hue Nagar Ki Tarah
Andheri Raat Se Guzra Hun Main Qamar Ki Tarah

Main Shakh-E-Waqt Men Aaya Hun Ek Samar Ki Tarah
Har Ek Sher Hai Rindon Ki Sham-E-Tar Ki Tarah

Tamam Shola O Shabnam Hun Kashmar Ki Tarah
Samundaron Ke Talatum Ne Mujhko Pala Hai

Rate it:
Views: 922
20 Apr, 2015
Related Tags on Ali Sardar Jafri Poetry
Load More Tags
More Ali Sardar Jafri Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets