Add Poetry

Garmi-E-Hasrat-E-Nakaam Se Jal Jate Hain

Poet: QATEEL SHIFAI By: Khawaja Mussadiq Rafiq, Karachi

Garmi-E-Hasrat-E-Nakam Se Jal Jaate Hain
Ham Charaghon Ki Tarah Shaam Se Jal Jaate Hain

Sham.A Jis Aag Men Jalti Hai Numa.Ish Ke Liye
Ham Usi Aag Men Gumnam Se Jal Jaate Hain

Bach Nikalte Hain Agar Atish-E-Sayyal Se Ham
Shola-E-Ariz-E-Gulfam Se Jal Jaate Hain

Khud-Numa.I To Nahin Sheva-E-Arbab-E-Vafa
Jin Ko Jalna Ho Vo Aram Se Jal Jaate Hain

Rabt-E-Baham Pe Hamen Kya Na Kahenge Dushman
Ashna Jab Tire Paigham Se Jal Jaate Hain

Jab Bhi Aata Hai Mira Naam Tire Naam Ke Saath
Jaane Kyuun Log Mire Naam Se Jal Jaate Hain
 

Rate it:
Views: 2706
04 Nov, 2019
More Qateel Shifai Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets