Add Poetry

Golion Ki Ghun Garaj Main

Poet: Rqabutt By: Rqabutt, Fsd

Golion Ki Ghun Garaj Main Kuch Log Chal Basay Hain
Kuch Yadain Ban Gay Hain,Kuch Khawab Mit Gay Hain

Gulab Say Muskuratay Chehray Janay Kahan Kho Gay Hain
Pation Ki Manind Har Soo Aaza Bikhar Gay Hain

Bhai K Hathon Behnain Aor Bhaai Mar Rahay Hain
Daikho Aaram Say Dushman Apni Chal Chal Gay Hain

Lago Lahav Main Kho Kar, Ho Kar Deen Say Baygana
Daikho Kaisay Sab Musalman Bay His Ho Gay Hain

Zulm Ki Aag Lamha Lamha Har Soo Berh Rahi Hai
Awaz Uthanay Walay Janay Kahan Kho Gay Hain

Insaniat Ka Dard Hai Na Deen Ki Sharm
Bohat Door Khuda K Deen Say Musalman Ho Gay Hain

Aankhon Say Hain Ashk Jari Jigar Hai Para Para
Labon Pay Atay Atay Alfaz Jam Gay Hain

Kia Zulm Khud Pay Ham Nay Bhula K Deen Ko Tairay
Ruswa Dunya Main Har So Ham Musalman Ho Gay Hain

Kar Day Raham To Mola Kar Day Karam To Mola
Kuch Khata Kar Dar Pay Tairay Aanso Liay Kharay Hain

Bakhsh Day Ham Ko Mola Kar Day Karam Too Mola
Sakht Aazmaishon Main Ham Log Ghir Gay Hain

Rate it:
Views: 703
17 Jun, 2008
More Religious Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets