Add Poetry

Gulon Mein Rang Bhare Baad-E-Nau-Bahaar Chale

Poet: Faiz Ahmed Faiz By: Khawaja Mussadiq Rafiq, Karachi

Gulon Men Rang Bhare Bad-E-Nau-Bahar Chale
Chale Bhi Aao Ki Gulshan Ka Karobar Chale

Qafas Udaas Hai Yaaro Saba Se Kuchh To Kaho
Kahin To Bahr-E-ḳhuda Aaj Zikr-E-Yar Chale

Kabhi To Sub.H Tire Kunj-E-Lab Se Ho Aghaz
Kabhi To Shab Sar-E-Kakul Se Mushk-Bar Chale

Bada Hai Dard Ka Rishta Ye Dil Gharib Sahi
Tumhare Naam Pe A.Enge Gham-Gusar Chale

Jo Ham Pe Guzri So Guzri Magar Shab-E-Hijran
Hamare Ashk Tiri Aqibat Sanvar Chale

Huzur-E-Yar Hui Daftar-E-Junun Ki Talab
Girah Men Le Ke Gareban Ka Taar Taar Chale

Maqam 'Faiz' Koi Raah Men Jacha Hi Nahin
Jo Ku-E-Yar Se Nikle To Su-E-Dar Chale


 

Rate it:
Views: 3195
18 Sep, 2019
Related Tags on Faiz Ahmed Faiz Poetry
Load More Tags
More Faiz Ahmed Faiz Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets