Ankhoon Me Bs Aa Gia Hai Gunbd-E-Khazra Tera
Betaab Nazar Ne Pa Lia Hai Gunbd-E-Khazra Tera
Ankhoon Pe Mein Naz Karoon Ya Qismt Ki Me Baat Karoon
Rab Ne Kia Dikhla Dia Hai Gunbd-E-Khazra Tera
Daamn Bhar Bhar Kr Rakh Loon Me Jam Nazar Ka Bhi Bhar Loon
Noor Ajab Barsa Rha Hai Gunbd-E-Khazra Tera
Khali Kesy Jay Ga Jo Bhi Dar Pr Haan Aye Ga
Kia Kia Ye Batla Raha Hai Gunbd-E-Khazra Tera
Rab Bhi To Phir Hi Mil Paey Us K Habib Ka Jo Bn Jay
Khush Bakhat Hain Wo Jin Ko Mila Hai Gunbd-E-Khazra Tera
Aap K Dar Pr Betha Hoon Abr-E-Rehmat Me Ghirta Hoon
Jb Pas Apny Mehsoos Kia Hai Gunbd-E-Khazra Tera