Add Poetry

Guzar Gai Namaz e Fajar Or Tu Sota Raha

Poet: Saleem By: ساجد ہمید, Karachi

"FAJAR"
Guzar Gayi Namaz-e-Fajar Or Tu Sota Raha
Qeemti Waqt Khuwabon Mein Khota Raha
Subah Hui Par Tu Bedaar Na Hua
Umr Bhar So Kar Bhi Tu Bezaar Na Hua

"ZOHAR"
Ayi Zohar To Tujhay Kam Ne Uljha Diya
Benamazi Bana Kar Kitna Tujhe Phansa Diya
De Ga Rizq Tujhe Namaz Ke Bad Bhi
Palay Ga Rabb Tera Ghar Namaz Ke baad Bhi

"ASAR"
Dekh Aa Gayi Namaz-e-Asar Tawanayi Le Kar
Quwat Hai Is Mein Tu Ise Ada Kar
Tandrust Hai Tu Aaj Ye Shukr Ada Kar
Badan Ko Tu Apne Sajdon Se Lazzar Diya Kar

"MAGRIB"
Chal Diya Aaftab Ab Ghuroob Hone Ko
Namaz-E-MagHrib Hai Ab Shuru Hone Ko
Khatam Ho Gya Teri Zindagi Ka Aik Or Din
Chala Gya Ye Bhi Tere Hath Se Nekiyon Ke Bin

"ISHA"
Ab Tujhe Chahye Rat Mein Sone Se Pehle
Isha Parh Le Apni Zindagi Khine Se Pehle
Paye Ga Sukoon To ALLAH Ke Zikr Mein
Mile Ga qaraar Tere Dil Ko Isi Fikar Mein.

Rate it:
Views: 1622
04 Apr, 2022
Related Tags on Islamic Poetry
Load More Tags
More Islamic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets