Add Poetry

Hai Justajoo Ke Khoob Se Hai

Poet: Altaf Hussain Hali By: Naseem Akhter, Karachi

Hai Justajoo Ke Khoob Se Hai Khoobtar Kahan
Ab Dekhiye Theharti Hai Ja Kar Nazar Kahan

Yarab Is Ikhtilat Ka Anjam Ho Bakhair
Tha Us Ko Hum Se Rabt, Magar Is Qadar Kahan

Ek Umr Chahye Ke Gawara Ho Naish-E-Ishq
Rakkhi Hai Aaj Lazzat-E-Zakhm-E-Jigar Kahan

Hum Jis Pe Mar Rahe Hain Wo Hai Baat Hi Kuch Aur
Alam Mein Tujhse Lakh Sahi Tu Magar Kahan

Hoti Nahin Qubool Dua Tark-E-Ishq Ki
Dil Chahta Na Ho To Zuban Mein Asar Kahan

'Hali' Nishat Nagma-O-Mai Dhundhte Ho Ab
Aye Ho Waqt-E-Subh, Rahe Rat Bhar Kahan
 

Rate it:
Views: 2839
17 Feb, 2014
Related Tags on Altaf Hussain Hali Poetry
Load More Tags
More Altaf Hussain Hali Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets