Hangama Hai Kyuun Barpa Thodi Si Jo Pi Li Hai
Daaka To Nahin Maara Chori To Nahin Ki Hai
Na-Tajraba-Kari Se Vaa.Iz Ki Ye Hain Baten
Is Rang Ko Kya Jaane Puchho To Kabhi Pi Hai
Us Mai Se Nahin Matlab Dil Jis Se Hai Begana
Maqsud Hai Us Mai Se Dil Hi Men Jo Khinchti Hai
Ai Shauq Vahi Mai Pi Ai Hosh Zara So Ja
Mehman-E-Nazar Is Dam Ek Barq-E-Tajalli Hai
Vaan Dil Men Ki Sadme Do Yaan Ji Men Ki Sab Sah Lo
Un Ka Bhi Ajab Dil Hai Mera Bhi Ajab Ji Hai
Har Zarra Chamakta Hai Anvar-E-Ilahi Se
Har Saans Ye Kahti Hai Ham Hain To Khuda Bhi Hai
Suraj Men Lage Dhabba Fitrat Ke Karishme Hain
But Ham Ko Kahen Kafir Allah Ki Marzi Hai
Ta.Alim Ka Shor Aisa Tahzib Ka Ghul Itna
Barakat Jo Nahin Hoti Niyyat Ki Kharabi Hai
Sach Kahte Hain Shaikh 'Akbar' Hai Ta.At-E-Haq Lazim
Haan Tark-E-Mai-O-Shahid Ye Un Ki Buzurgi Hai