Add Poetry

Har Ek Baat Pe Kahte Ho Tum Ki Tu Kya Hai

Poet: MIRZA GHALIB By: Khawaja Mussadiq Rafiq, Karachi

Har Ek Baat Pe Kahte Ho Tum Ki Tu Kya Hai
Tumhin Kaho Ki Ye Andaz-E-Guftugu Kya Hai

Na Sho.Ale Men Ye Karishma Na Barq Men Ye Ada
Koi Batao Ki Vo Shokh-E-Tund-khu Kya Hai

Ye Rashk Hai Ki Vo Hota Hai Ham-Sukhan Tum Se
Vagarna khauf-E-Bad-Amozi-E-Adu Kya Hai

Chipak Raha Hai Badan Par Lahu Se Pairahan
Hamare Jaib Ko Ab Hajat-E-Rafu Kya Hai

Jala Hai Jism Jahan Dil Bhi Jal Gaya Hoga
Kuredte Ho Jo Ab Raakh Justuju Kya Hai

Ragon Men Daudte Phirne Ke Ham Nahin Qaa.Il
Jab Aankh Hi Se Na Tapka To Phir Lahu Kya Hai

Vo Chiiz Jis Ke Liye Ham Ko Ho Bahisht Aziiz
Siva.E Bada-E-Gulfam-E-Mushk-Bu Kya Hai

Piyun Sharab Agar khum Bhi Dekh Luun Do-Char
Ye Shisha O Qadah O Kuuza O Subu Kya Hai

Rahi Na Taqat-E-Guftar Aur Agar Ho Bhi
To Kis Umiid Pe Kahiye Ki Aarzu Kya Hai

Hua Hai Shah Ka Musahib Phire Hai Itrata
Vagarna Shahr Men 'Ġhalib' Ki Aabru Kya Hai

 

Rate it:
Views: 3487
19 Sep, 2019
Related Tags on Mirza Ghalib Poetry
Load More Tags
More Mirza Ghalib Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets