har ek ghar men diya bhi jale anaaj bhi ho
agar na ho kahin aisa to ehtijaj bhi ho
rahegi wadon men kab tak asiir khush-hali
har ek baar hi kal kyuun kabhi to aaj bhi ho
na karte shor-sharaba to aur kya karte
tumhare shahr men kuchh aur kam-kaj bhi ho
hukumaton ko badalna to kuchh muhal nahin
hukumaten jo badalta hai vo samaj bhi ho
badal rahe hain kai aadmi darindon men
maraz purana hai is ka naya ilaaj bhi ho
akele gham se nai shairi nahin hoti
zaban-e-‘mir’ men ‘ghalib’ ka imtizaj bhi ho