har taraf har jagah beshumar aadmi
phir bhi tanhaiyon ka shikar aadmi
subh se shaam tak bojh dhota hua
apni hi laash ka khud mazar aadmi
har taraf bhagte daudte raste
har taraf aadmi ka shikar aadmi
rose jiita hua rose marta hua
har nae din naya intizar aadmi
ghar ki dahliz se gehun ke khet tak
chalta phirta koi karobar aadmi
zindagi ka muqaddar safar-dar-safar
akhiri saans tak beqarar aadmi