Hindustan Bhi Mera Hai Aur Pakistan Bhi Mera Hai
Lekin In Donon Mulkon Mein Amrika Dera Hai
Aid Ki Gandam Kha Kar Ham Ne Kitney Dhokey Khai Hain
Poochh Na Hamne Amrika Ke Kitne Naaz Uthai Hain
Phir Bhi Ab Tak Wadi-E Gul Ko Sangeenon Ne Ghera Hai
Hindustan Bhi Mera Hai Aur Pakistan Bhi Mera Hai
Khan Bahadur Chhodna Hoga Ab To Saath Angrezon Ka
Ta Bah Gareban Aa Pahuncha Hai Phir Se Hath Angrezon Ka
Macmilan Tera Na Hua To Kenedy Kab Tera Hai
Hindustan Bhi Mera Hai Aur Pakistan Bhi Mera Hai
Yeh Dharti Hai Asal Mein, Pyare, Mazdooron Dahqanon Ki
Is Dharti Par Chal Na Sakegi Marzi Chand Gharanon Ki
Zulm Ki Rat Rahegi Kab Tak Ab Nazdik Savera Hai
Hindustan Bhi Mera Hai Aur Pakistan Bhi Mera Haia