hue sab ke jahan men ek jab apna jahan aur ham
musalsal ladte rahte hain zamin-o-asman aur ham
kabhi akash ke taare zamin par bolte bhi the
kabhi aisa bhi tha jab saath thiin tanhaiyan aur ham
sabhi ik dusre ke dukh men sukh men rote hanste the
kabhi the ek ghar ke chand suraj naddiyan aur ham
moarrikh ki qalam ke chand lafzon si hai ye duniya
badalti hai har ik yug men hamari dastan aur ham
darakhton ko hara rakhne ke zimmedar the donon
jo sach puchho barabar ke hain mujrim baghban aur ham