Add Poetry

Hum Dekhain Gay

Poet: faiz ahamad faiz By: Mohsin shaikh, Hyderabad sindh

Hum Dekhain Gay
Lazim Hai Ke Hum Bhi Dekhain Gay

Wo Din Ke Jis Ka Wadah Hain
Jo Loh-E-Azl Pe Likha Hain

Jab Zulmo-O-Sitam Ke Koh-E-Garaan
Ruii Ki Tarha Urd Jain Gay

Hum Mehkumoon Ke Paun Talay
Ya Dharti Dhard Dhard Dharkay Gi

Aur Ehl-E-Hukam Ke Uper Jab Bijli Kard Kard Kardke Ki

Jab Arz-E-Khuda Ke Kabay Se
Sub But Uthwaaiy Jain Gay

Hum Ehl-E- Safa Mardood-E-Haram
Masnad Pe Bithaaiy Jain Gay

Sub Taaj Uchalay Jain Gay
Sub Takhat Giraaiy Jain Gaz

Bas Nam Rahay Ga Allha Ka
Jo Gayab Bhi Hai Hazir Bi
Jo Nazir Bhi Hai Manzar Bhi

Uthay Ga Analhaq Ka Nara Jo Main Bhi Ho Aur Tum Bhi Ho
Aur Raj Karay Gi Khalq-E-Khuda Jo Main Bhi Ho Aur Tum Bhi Ho
Hum Dekhay Gay

Lazim Hai Ke Hum Bhi Dekhain Gay
 

Rate it:
Views: 12673
26 Feb, 2013
Related Tags on Faiz Ahmed Faiz Poetry
Load More Tags
More Faiz Ahmed Faiz Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets