Q ankh main behatay huway ashkoon ki lari hain
chup rehay mere hum watan Qayamat ki ghari hain
hota hai kuch guman saa madan-e-ashar ka
Her ek musalman ko apni hi phari hain
Mit jae ga mera daish ya halat bana kar
Atraaf ki her qoum tamashay phar kari hain
Phir surkh surkh hai mere dariyaon ka pani
Lagta hai kahi khoon ki barsaat pari hain
In zalimo ko jar se mita day aye mere rub
Sub hath uthao ke duaaon ki ghari hain
Hum to Mit jae Gay Aye Arz-e-Watan
Lakin tum ko Zinda Rehana Hai Qayamat ki Sehair Honay Tak