ham tujh se kis hawas ki falak justaju karen
dil hi nahin raha hai jo kuch arazu karen
mit jayen ek an main kasrat namayan
ham aine k samne a kar jo hu karen
tar-damani pe sheikh hamari na jaio
daman nichor den to farishte wazu karen
sar ta qadam zaban hai jun shama go k ham
par ye kahan majal jo kuch guftagu karen
har chand aina hun par itna na qabul
mun pher le wo jiske mujhe ru-ba-ru karen
na gul ko hai sabt na ham ko aitabar
kis bat par chaman hawas-e-rang-o-bu karen
hai apni ye salah k sab zahidan-e-shahar
ai "Dard" a ke bet-e-dast-e-sabu karen