Humare sir pe khubsurat sa ek saya hai
Kon jane us sae ne kya kch hum se chhupaya hai
Khud se pehle khushi hai sub ki ehem
Us sae ne humen khushion ka matlb bhi sikhlaya hai
Chup chaap khamoshi sa wo saya
Jis ne ghamon ka dher aksar has k bitaya hai
Jatana to dur kbhi kaha bhi nhi
Us sae ne har pal humen jeena sikhaya hai
Kbhi dhoop kabhi barish ki boondon jesa
Wo saya jis ne har pal humen jitaya hai
Haste haste khushi khushi
Ansuon ko aksar khamoshi sa bahaya hai
Kya bata sakte hain us sae ki ehmiyat
Jis ne har pal humen sir ankhon pr bithaya hai
Hum kehte bhi nhi pr wo jaan leta hai
Ye saya humare dilon ki dharkan ko bhi pehchan leta hai
Wo aksar humari khatir apna niwala bhi sambhal leta hai
Maon ko jannat ka maan humesha se kehlaya hai
Pr Q na jane k baap ne hi to jannat ka rasta humen dikhaya hai
Khuda ki qudrat ka suna to tha hum ne
Pr khuda ne apni qudrat us sae se hum ko jatlaya hai
Asmanon pr farishte hua karte hain
Pr hum ne to baap ki shakal me ek farishte ko hi apna ap banaya hai
Humesha dua hai is sae k tale zindagi guzre humari
Jis sae ne pehli sans se ab tk humen apne seene se lagaya hai