Add Poetry

Hungama Hai Kyon Barpa

Poet: Akbar Allahabadi By: Haider Ali, jaccobabad

Hungama Hai Kyun Barpa,
Thoree See Joe Pee Lee Hai
Daaka To Nahin Daala,
Choree To Nahin Kee Hai

Us Ma’ay Say Nahin Matlab,
Dil Jis Say Ho Baygaana
Maqsood Hay Oos Ma’ay Se,
Dil Hee Main Jo Khinchtee Hai

Na Tajurba-Kari Se,
Va’iz Kee Ye Batain Hain
Us Rung Ko Kya Jaanay,
Pucho To Kabhee Pee Hai?

Sooraj Main Lagay Dhabba,
Fitrat Kay Karishmay Hain
Butt Hum Ko Kahain Kaafir,
Allah Kee Marzee Hai

Har Zarra Chamakta hai,
Anwar-e-Elaahi Se..
Har Saans ye kehti hai,
Hum Hai to Khudaa Bhi Hai..

suraj mein lage dhabba
fitrat ke karishme hain

but hum ko kahen kafir allah ki marzi hai
talim ka shor aisa tahzib ka ghul itna

barakat jo nahin hoti niyyat ki KHarabi hai
sach kahte hain shaiKH 'akbar' hai taat-e-haq lazim
han tark-e-mai-o-shahid ye un ki buzurgi hai

Rate it:
Views: 2454
24 Dec, 2020
Related Tags on Akbar Allahabadi Poetry
Load More Tags
More Akbar Allahabadi Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets