Ibtida Se Hum Zaif-O-Natawaan Paida Hue
Ud Gaya Jab Rang Rukh Se Ustukhwaan Paida Hue
Khaaksaari Ne Dikhaayi Rifaton Par Rifaten
Iss Zameen Se Waah Kya Kya Aasmaan Paida Hue
Ilm Khaaliq Ka Khazaana Hai Miyaan-E-Kaaf-O-Nun
Ek Kun Kahne Se Ye Kaun-O-Makaan Paida Hue
Zabt Dekho Sab Ki Sun Li Aur Kuchh Apni Kahi
Iss Zabaan-Daani Par Aise Bezabaan Paida Hue
Shor-Bakhti Aayi Hisse Mein Unhin Ke Wa Naseeb
Talkh-Kaami Ke Liye Sheerin-Zabaan Paida Hue
Ehtiyaat-E-Jism Kya Anjaam Ko Socho ‘Anees
Khaak Hone Ko Ye Musht-E-Ustukhwaan Paida Hue