Add Poetry

Is Aalam-E-Viran Men Kya Anjuman-Arai

Poet: Sufi Tabassum By: Kashif, khi

Is Aalam-E-Viran Men Kya Anjuman-Arai
Do Roz Ki Mahfil Hai Ek Umr Ki Tanhai

In Madh-Bhari Aaankhon Men Kya Sehr Tabassum Tha
Tasnim Ki Lahron Men Firdaus Ki Ranai

Jis Samt Nazar Utthi Aawaz Teri Aai
Wo Mast Nigahen Hain Ya Wajd Men Raqsan Hai

Auron Ki Mohabbat Ke Dohrae Hain Afsane
Baat Apni Mohabbat Ki Honton Pe Nahin Aai

Nazron Men Mohabbat Ki Duniya Hi Simat Aai
Ek Naz Bhare Dil Men Ye Ishq Ka Hangama

Kuchh Husn Men Be-Tabi Kuchh Ishq Men Zebai
Afsun-E-Tamanna Se Bedar Hui Aakhir

Ek Gosha-E-Khalwat Men Ye Dasht Ki Pahnai
Phaili Hain Fazaon Men Is Tarah Teri Yaaden

Rate it:
Views: 997
20 Apr, 2015
More Sufi Tabassum Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets