Is Karam Ka Karoon Shukar Kaise Ada Lyrics
Poet: Aabid By: Aabid, Dera Ismail KhanBe bandagi urooj kiya banda kardiya Tara mere naseeb ka tabinda kardiya Kitni bari Huzoor ki banda nawazia(n) Mujh ko mere sawal ne sharminda kardiya Is karam ka karoon shukar kaise ada Jo karam mujhpe mere Nabi kardiya Main sajata tha Sarkaar ki mehfile(n) Mujhko har gham se Rab ne bari kardiya Gham e Aashiqui se pehle Mujhe kon janta tha Mohabbat e Mustafa se pehle mein kuch nahi tha mein kuch nahi tha Karam ki is intihaa se pehle main kuch nahi tha mein kuch nahi tha Tere karam ka tasadduq teri ata ka nisaar Mein kya tha aur mujhe kiya bana diya tune Gham e Aashiqui se pehle Mujhe kon janta tha Teri zaat ne banadi Meri zindagi fasaana Main Shukar kaise ada Is karam ka karoon Shukar kaise ada Is karam ka karoon Ata kiya mujh ko dard e ulfat Kahan thi ye pur khata ki qismat Main is karam ke kahan tha qabil Huzoor ki banda parwari hai Shukar kaise ada Is karam ka karoon Shukar kaise ada Is karam kakaroon Ban gayi baat unka karam ho gaya Shaakh e nasl e tamanna hari hogayi Mere lab pe Muhammad ka naam aa gaya Baithe baithe meri haazri hogayi Shukar kaise ada Is karam ka karoon Shukar kaise ada Is karam ka karoon Khaliq ne mujh ko meri talab se sila diya Sarmaya dar e ishq e Muhammad bana diya Shukar kaise ada Is karam ka karoon shukr kaise ada Jo karam mujh pe mere Nabi kardiya Main sajata tha Sarkar ki mehfile(n) Mujhko har gham se Rab ne bari kardiya Jab liya naam e Nabi main ne Dua se pehle Hogayi mujhpe ata meri khata se pehle Muhammad Mustafa ka naam bhi kya ism e azam hai Jahaan koi na kaam aye wahaan ye kaam ata hai Zikr e Sarkar ki hain bari barkatein Mil gaie(n) Rahatei(n) Azmatei(n) Ruf’atei(n) Main gunahgaar tha be amal tha magar Mustafa ne mujhe Jannati kardiya Kamli wale ke karam ki baat hai Warna mujh mangte ki kya auqaat hai Jitna diya Sarkar ne mujhko Utni meri auqaat nahi hai Ye to karam hai unka warna Mujh mein to koi baat nahi hai Lamha lamha hai mujh par Nabi ki ata Doston aur mangu(n) main Maula se kiya Kya ye kam hai ke mere khuda ne mujhe Apne Mehboob ka ummati kardiya Galay main touq e Burhaani hai shah e Bat-ha ka Bhala ye kam hai nishaan mujh se be nishaa(n) ke liye Kya ye kam hai bhala, Kya ye kam hai bhala Apni qismat pe kyun na naaz karun Log kehte hai ghulam e shah e Bat-ha mujh ko Kya ye kam hai bhala, Kya ye kam hai bhala Mujhe mil gayi dono aalam ki shaahi Mera unke mangtoo(n) mein naam aa gaya hai Kya ye kam hai bhala, Kya ye kam hai bhala Manam adna sana khwan e Muhammad Ghulm e az ghulaman e Muhammad Kya ye kam hai bhala, Kya ye kam hai bhala Bas inko safa kasht bechara janoo(n) Ghulam e ghulaman e Aal e Muhammad Kya ye kam hai bhala, Kya ye kam hai bhala Jo dar e Muhammad ke gada hogaye Dekhte dekhte kya se kya hogaye Aise chashm e karam ki hai Sarkar ne Dono aalam main unko ghani kardiya Koi mayoos lota na darbar se Jo bhi manga mila mere Sarkar se Sadqe jaoon Niazi main lajpal ke Har gada ko sakhi ne sakhi kardiya Is karam ka karoon shukar kaise ada Jo karam mujhpe mere Nabi kardiya